Time to Get nostalgic

Purani jeans aur guitar ..
Mohalle ki woh chhhat aur mere yaar ..
Woh raaton ko jaagna ..
Subaah ghar jaana kood ke deewar ..
Woh cigeratte peena gali main jaake ..
Woh karna daanton ko ghari ghari saaf …

Pahunchna college hamesha late ..
Woh kehna Sir ka “Get out from the class !”
Woh baahar jaake hamesha kehna ..
“Yahaan ka system hi hai kharaab ..!”
Woh jaake canteen main table baja ke ..
Woh gaane gaana yaaron ke saath ..
Bus yaadein yaadein reh jaati hain ..
Kuch chhoti chhoti baatein reh jaati hain ..
Bus yaadein ..

Woh papa ka daantna ..
Woh kehna mummy ka “Chhorein ji aap !”
“Tumhe to bus nazar aata hai
Jahaan main beta mera hi kharaab ..”
Woh dil mein sochna kar ke kuch dikha dein..
Woh karna planning roz nayi yaar ..!!

Larakpan ka woh pehla pyaar ..
Woh likhna haathon pe A plus R ..
Woh khidki se jhaankna ..
Woh likhna letter tumhe baar baar ..
Woh dena tohfe main sone ki baaliyaan ..
Woh lena doston se paise udhaar ..
Bus yaadein yaadein reh jaati hain ..
Kuch chhoti chhoti baatein reh jaati hain ..
Bus yaadein ..

Aisa yaadon ka mausam chala ..
Bhoolta hi nahin dil mera ..
Purani jeans aur guitar ..
Mohalle ki woh chhhat aur mere yaar ..
Woh raaton ko jaagna ..
Subaah ghar jaana kood ke deewar ..
Purani jeans aur guitar ..
Mohalle ki woh chhhat aur mere yaar ..
Woh raaton ko jaagna ..
Subaah ghar jaana kood ke deewar .. .

Leave a Reply

Your email address will not be published.