One of my favorite ghazals.
Tere bare mein jab socha nahi tha,
Main tanha tha magar itna nahi tha
Teri tasveer se karta tha baatein,
mere kamre mein aayina nahi tha.
Samandar ne mujhe pyaasa hi rakha,
main jab sahera mein tha pyaasa nahi tha.
Manaane ruthne ke khel mein hum,
bichhad jaayenge ye socha nahi tha.
Suna hai band kar li aankhein usne,
kai raaton se wo soya nahi tha.
Every line of this song can be told in form of a story itself…at least I can do that!