Baarish ki woh ek raat
kabhi halki halki
kabhi yuk dam tez
woh baarish mein bheegna
aas paas ke lehrate darakhton ka naha jana
phoolon ka nikhar jana
aur!!!!!!!! achanak se
kisi ka saamne aa jana
haya se palkon ka jhuk jana
tez chalti hawaon mein
aanchal ka na sambhlna
khuli zulfon ka bikharna
motiyon si boondon ka padna
woh un ki nazron se bach ke
sharam se khud se ulajhna
woh waqt ka tezi se beet jana
woh hamara zindagi ki uljhanoon mein kho jana
woh guzarta waqt yaad aata hai
kisi andekhe sapne ki tarah
woh baarish ki boondein
abhi tak hawaon main maujood hain
kisi seep main rakhe moti ki tarah