Ek aag ka dariya hai aur doob ke jana hai

 

Ek lafz-e-mohabbat adna ye fasana hai,
Simte toh dil-e-aashiq faile to zamana hai

Hum ishq ke maaron ka itna hi fasana hai,
Rone ko nahi koi hasne ko zamana hai

Wo aur wafa dushman manenge na mana hai,
Sab dil ki shararat hai aankhon ko bahana hai

Kya husn ne samjha hai kya ishq ne jana hai,
Hum khak-nashenon ki thokar mein zamana hai

Eh ishq junoon pesha haan ishq-a-junoon pesha,
Aaj ek sitamgar ko hans hans ke rulana hai

Ye ishq nahi asaan itna samjh lijiye,
Ek aag ka dariya hai aur doob ke jana hai

Aansu toh bahot se hain ankhon mein zigar lekin,
Bindh jaye toh moti hai reh jaye toh dana hai

Leave a Reply

Your email address will not be published.