Digital Interactions

Recently I had posted a poem by Sukhdarshan Dhaliwal. Here is a Hindi poem from same poet –

 

Yeh compu-internet, innovation ki duniya.
Yeh barh rahi email interaction ki duniya.

 

Yeh mouse, keyboard, monitor, modem,
Sajda karte hain jise Radha aur Parshotam,
Yeh saroor-e-chat-o-sensation ki duniya.

 

Yeh web designers, yeh soft programmers,
Yeh computer symbols, codes and numbers,
Yeh naye tassavur exploration ki duniya.

 

Yeh computer tech ke naye daur ka fasaana,
Aakash ki aarzoo mein web browser ka aaina,
Yeh khwabon mein fascination ki duniya.

 

Yeh digital age ki mahak mein pighalta insaan
Yeh login, logout mein behte huye armaan
Yeh naye nizaam, nayi generation ki duniya.

 

Yeh desktop pe dilkash* connecting icons,
Yeh compu-interplay ke hidden emoticons,
Yeh youtube, twitter public relation ki duniya.

 

Yeh web hostings, yeh domain name servers,
Yeh har taraf, har kisam ke web-bloggers,
Yeh badhti hui communication ki duniya.

 

Yeh ‘electronic duniya’ kahan ja rahi hai.
Zindagi mein kya kho rahi, kya pa rahi hai.
Is digital duniya ka koi rahi mujhe samjhaye.
‘Darshan’ ke is ‘sawaal’ ki pyas bujhaye.

 

dilkash*: Charming

Leave a Reply

Your email address will not be published.