Sadistic Masterpiece

Kabhi sheeshe dhundle hote hain,
Kabhi manzar saaf nahin hote…
Kabhi suraj baat nahin karta,
Kabhi taare aankh badalte hain…
Kabhi manzil peeche rehti hai,
Kabhi raste aage chlte hain!!!
Kabhi ankhain dekh nahin sakti,
Kabhi Khwaab adhoray hote hain.

 

Yeh sab sahi tou hai lekin
Is ashoob ke manzar naame mein
Din raat ke aane jane mein
Duniya ke ajaayab khane mein
Kabhi saya karti ankhon ke
Paymane tou dikhai dete hain
Haathon se agar door sahi
Manzil sey koson door sahi
Par door sahi, ranjoor sahi,
Zakhmon sey musafir choor sahi
Per kis se kahein, "ay-jan-e-wafa"
Kuch ghao tu aise hote hain
Jinhein zakhmi aap hi dhote hain
Bin roye hue aansuon ki tarah
Sapne mein chhupa kar rakhte hain
Aur sari umar nahin rote
Neendein bhi muhaya hoti hain
Sapne bhi door nahin hote
Kyon phir jaagtay rehtay hain?
Kyon sari raat nahin sotay?

 

Ab kis sey kahein "ay-jan-e-wafa", a ahl-e-wafa
Kis aag mein jate rehte hain,
Kyon bujh ke rakh nahin hote
Imkan tou dikhai detay hain!!

 

directly picked as quoted by Sunshine

 

(source)

Leave a Reply

Your email address will not be published.