Recalling those golden words (Hindi)

The words spoken by Meena Kumari once –

 

Aagaaz to hota hai anjaam nahin hota

jab meri kahaani mein woh naam nahin hota

jab zulf ki kaalikh mein ghul jaye koi raahi

badnaam sahi lekin gumnaam nahin hota

hans hans ke jawaan dil ke hum kyon na chunein tukde

har shakhs ki kismat mein inaam nahin hota

din doobe hain ya doobi baraat liye kishti

saahil pe magar koi kohraam nahin hota.

 

 

Dil sa jab saathi paaya

Bechaini bhi woh saath le aaya.

 

 

Tum kya karoge sunkar mujhse meri kahaani,

Be-lutf zindagi ke kisse hain feeke feeke!

 

 

Talaq to de rahe ho

Nazr-e-kahar ke saath

Jawaani bhi meri lauta do

Meher ke saath

 

 

 

Dictionary:

  1. Aagaaz – beginning
  2. Anjaam – End, consequence
  3. Kaalikh – Darkness
  4. Ghul – Mix
  5. Kishti/kashti – boat
  6. Saahil – shore, beach
  7. Kohraam – mourning, lamentation
  8. Be-lutf – Sad, joyless, languid
  9. Talaq – divorce
  10. Nazr-offering
  11. Meher-Dowry

20 thoughts on “Recalling those golden words (Hindi)”

  1. manjil bhi unki thi . rasta bhi unka tha. ek main akela tha kafila bhi unka tha . sath sath chalne jid bhi unki thi . phir rasta badalne ka faisala bhi unka tha . kyun aaj akela hai dil sawal karta hai. are log toh unke the hi kya khuda bhi unka tha

  2. kisi se sirf itna dus hona… ki use tumhari ehmiyat ka ehsaas ho jaye…
    lekin kabhi itna dur mat hona ki wo aapke bina jina sikh jaye…

  3. TOD KAR DIL HUMARA AB WO JA RAHE HAIN
    DIL HUMARA JALAKAR WO TO MUSKURA RAHE HAIN
    HUMNE POOCHHA YE KYUN KIYA TO UNHONE KAHA
    HUM TOH NEWS REPORTER HAIN BREAKING NEWS BANA RAHE HAIN!!

  4. MAINE JAB AANSU BAHAYE
    DIL KO HANSI AA GAYI
    MAIN POOCHHA HANSA KYUN USSNE KAHA
    MUJHSE TOH DOOR CHALE GAYE AB
    UNHE AANKHON SE TOH MAT GIRAO!!

  5. dil ka haal kisi ko sunate nahi
    batane se lekin ghabrate nahi
    darte toh sirf apne dil se hain
    naam unka sunkar rona uska rukta nahi!!!!

  6. aey dil kisi se itna pyar mat kar ki baad main rona pade
    aey dil kisi se itna pyar mat kar ki baad main rona pade
    chhod kar apna boriya bistar fatte par sona pade

  7. hum toh aapke dil main meheman ki tarah rehete hain
    hume apne dil se bhulage kaise!!!!
    hum toh aapki aankhon main aansu ba kar rehte hain
    bhulane ki koshish karoge toh aankhon ke saamne aa jaainge!!1

  8. aap jise itna yaad karte hai ye zaruri nahi ki wo bhi aapko utna hi yaad kare
    par wo is bat se bhi anjaan hai ki aap us inshan k liye kitne important hai.@

  9. kal me yaad tumhe aaunga, dil me ek kasak chod jaunga,
    gairon ka dard aawara nahi mujhe, sheesha hu tootkar pyari c khanak chod jaunga,
    aaj chahe jitna tadpalo mujh, par kal tumhe apni yaadon me rota hua chod jaunga.
    @I MISS YOU@

  10. jise aap itna yaad karte hai ye zaruri nahi ki wo bhi aapko utna hi yaad kare
    par aap uske liye kitne important hain ye bat se wo anjan bhi ha…jiska afsosh use bahut jaldi ho jata hai jise aap hamesha yaad karte rahte hai.. isiliye kisi ko itni jaldi nahi bhulana chahiye.@

Leave a Reply to SuNnY Cancel reply

Your email address will not be published.