More Shayari From Fanaa

I have updated Shayari from Fanaa post with more Shayari from Fanaa – the only thing that I liked in this movie. Here are the additions –

Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
Sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
Pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
Suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai….

Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.
Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,
Yun Kisika Peecha Hum Nahin Karte

Tere dil mein meri saanson ko panaah mil jaaye
Tere ishq mein meri jaan fanaa ho jaaye

Adhoori saans thi dhadkan adhoori thi adhooren hum
Magar ab chaand poora hain falak pe aur ab pooren hain hum

And More…

Na Shehar Dekho Na Biyabaan Dekho,
Khuda ka Iklauta Naam-o-Nishaan Dekho,
Bas aankh uthaao,
Aur Rehan Dekho.

Baithi hain honthon ko see kar, pachhtaengi aap,
Ishaq jaag uththa hai aksar aisi khaamoshi ke baad.
Insaan ki khawahish ki koi intihaa nahi,
Do gaz zameen chahiye, do gaz kafan key baad.

Dard sey aankhein chaar kar lenge,
hum bhi imtihaan dey denge,
Teri dosti key khaatir ai dost,
hum dushmanon sey bhi payaar kar lenge.

Humse Door Jaoge Kaise,
Dil Sey Humein Bhulaaoge Kaisey,
Hum Who Khushbu Hain Jo Saanson Mein Bastey Hain,
Khudki Saanson Ko Rok Paoge Kaise.

Aisa laga Khuda ne Rakh diya hamare dil pey haath,
Liya naam hamaara unhon ne kuch aisi ada key saath.

Paani Sey Payaas Na Buji To Meikhaaney Ki Taraf Chal Niklaa,
Socha Shikayat Karoon Teri Khuda Sey, Par Khuda Bhi Tera Aashiq Niklaa.

Tujey is Baazaar ka Dastoor Mein Samjha na Saka,
Bik Gaya jo Woh Khareedar ho Nahi Saka.

Bhool Kar key Agar Hum sey koi bhool hui ho,
To bhool samaj kar bhulaa deyna,
Leykin bhulaana sirf bhool ko,
Galati sey bhi humein na bhulaa deyna.

Hai Jo Seene Me Quaid Dariya Wo Chut Jayega,
Hai Itna Dard Ki Tera Daman Bheeg Jayega.

Naa shahar dekho naa biyaban dekho,
Naa shahar dekho naa biyaban dekho,
Khuda ka eklauta namonishan dekho,
Bas aankh uthao aur Rehan dekho

Kaash main oon kaa gola hota,
Kaash main oon kaa gola hota
Aur unki ungliyon me liptaa hota
Kaash wo mera sweater banakar garmiyon mein bhi pahne rahti

Updated (December 18, 2006): You can download the MP3s ringtones of most of the shayaris from Fanaa Film Shayari In Mp3 Tones Format on mastimaza.com

3 thoughts on “More Shayari From Fanaa”

  1. Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
    Sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
    Pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
    Suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai….
    Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
    Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.
    Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,
    Yun Kisika Peecha Hum Nahin Karte
    Tere dil mein meri saanson ko panaah mil jaaye
    Tere ishq mein meri jaan fanaa ho jaaye
    Adhoori saans thi dhadkan adhoori thi adhooren hum
    Magar ab chaand poora hain falak pe aur ab pooren hain hum
    And More…
    Na Shehar Dekho Na Biyabaan Dekho,
    Khuda ka Iklauta Naam-o-Nishaan Dekho,
    Bas aankh uthaao,
    Aur Rehan Dekho.
    Baithi hain honthon ko see kar, pachhtaengi aap,
    Ishaq jaag uththa hai aksar aisi khaamoshi ke baad.
    Insaan ki khawahish ki koi intihaa nahi,
    Do gaz zameen chahiye, do gaz kafan key baad.

    Dard sey aankhein chaar kar lenge,
    hum bhi imtihaan dey denge,
    Teri dosti key khaatir ai dost,
    hum dushmanon sey bhi payaar kar lenge.

    Humse Door Jaoge Kaise,
    Dil Sey Humein Bhulaaoge Kaisey,
    Hum Who Khushbu Hain Jo Saanson Mein Bastey Hain,
    Khudki Saanson Ko Rok Paoge Kaise.

    Aisa laga Khuda ne Rakh diya hamare dil pey haath,
    Liya naam hamaara unhon ne kuch aisi ada key saath.
    Paani Sey Payaas Na Buji To Meikhaaney Ki Taraf Chal Niklaa,
    Socha Shikayat Karoon Teri Khuda Sey, Par Khuda Bhi Tera Aashiq Niklaa.
    Tujey is Baazaar ka Dastoor Mein Samjha na Saka,
    Bik Gaya jo Woh Khareedar ho Nahi Saka.
    Bhool Kar key Agar Hum sey koi bhool hui ho,
    To bhool samaj kar bhulaa deyna,
    Leykin bhulaana sirf bhool ko,
    Galati sey bhi humein na bhulaa deyna.
    Hai Jo Seene Me Quaid Dariya Wo Chut Jayega,
    Hai Itna Dard Ki Tera Daman Bheeg Jayega.
    Naa shahar dekho naa biyaban dekho,
    Naa shahar dekho naa biyaban dekho,
    Khuda ka eklauta namonishan dekho,
    Bas aankh uthao aur Rehan dekho
    Kaash main oon kaa gola hota,
    Kaash main oon kaa gola hota
    Aur unki ungliyon me liptaa hota
    Kaash wo mera sweater banakar garmiyon mein bhi pahne rahti

Leave a Reply

Your email address will not be published.