My all time favourite poem


Here is my favourite poem written by Ram Prasad Bismil –

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaray dil mein hai,
Dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai
Karta nahin kyun doosra kuch baat cheet,
Dekhta hoon main jise vo chup teri mehfil mein hai
E shaheed-e-mulk-o-millat main tere oopar nisaar,
Ab teri himmat ka charcha gair ki mehfil mein hai
Waqt aanay de bata denge tujhe e aasman,
Ham abhi se kya bataein kya hamare dil mein hai
Khainch kar layee hai sab ko qatl honay ki ummeed,
Aashiqon ka aaj jumghat koocha-e-qaatil mein hai

(till here in RDB)

Hai liye hathiyaar dushman taak mein baitha udhar,
Aur hum taiyyaar hain seena liye apna idhar.
Khoon se khelenge holi gar vatan muskhil mein hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.

Haath jin mein ho junoon katt te nahi talvaar se,
Sar jo uth jaate hain voh jhukte nahi lalkaar se.
Aur bhadkega jo shola-sa humaare dil mein hai,
Hum to ghar se nikle hi the baandhkar sar pe qafan,
Chaahatein liin bhar liye lo bhar chale hain ye qadam.
Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai,
Dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inquilaab,
Hosh dushman ke udaa denge humein roko na aaj.
Duur reh paaye jo humse dam kahaan manzil mein hai,

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Dekhna hai zor kitna baazuay qaatil mein hai.

Culled from wikipedia

 

 

 

Update (March 12, 2008): Here is what I clicked from the walls of Red Fort Museum during my visit in October 2007 –


Sarfroshi Ki Tamanna

Leave a Reply

Your email address will not be published.